ShareChat
click to see wallet page

Tum kis cheez ki gawahi dete ho?"👇 Hazrat Jareer RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Hijjatul Wida ke mauqa par Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath they. Hum ek aisi jagah pahunche jise Gadeer-e-Khum kehte hain. Namaz baa-Jama'at hone ki nida aayi to saare Muhajareen wa Ansar jama hogaye. Fir Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam hamare darmiyaan Khade hue aur Khitaab farmaya: "Ay logo! Tum kis cheez ki gawahi dete ho?" Unhone kaha: Hum gawahi dete hain ke Allah ke siwa koi mabood nahi! Aap ﷺ ne farmaya: "Fir kiski?" Unhone kaha: "Beshak Muhammad Uske Bande aur Rasool Hain!" Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: "Tumhara Wali kaun hai?" Unhone kaha: Allah aur Uska Rasool ﷺ. Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne fir farmaya: "Tumhara Wali aur Kaun hai?" Tab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali Alaihissalam ko Baazu se pakad kar khada kiya aur (Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ke) Dono Baazu thaam kar farmaya: "Allah aur Uska Rasool jiske Maula hain uska Ye (Ali) Maula hai! Ay Allah! jo Ali ko Dost rakhe Tu usey Dost rakh (aur) jo Is (Ali) se adawat rakhe Tu us se adawat rakh! Ay Allah! jo Isey Mehboob rakhe Tu usey mehboob rakh aur jo Is se bugz rakhe Tu us se bugz rakh!" Tabrani, Mujam al Kabeer, 2/357, Hadees 2505 Haysami, Majma uz Zawaid, 9/106 Hisamuddin Hindi, Kanzul Ummal, 13/138_139, Hadees 36437 Ibne Asakir, Tarikh-e-Damishq ash Kabeer, 45/179 Kanzul Mattalib fee Manaqib Ali ibne Abi Talib Alaihi-Mussalam, Hadees 42 #ya rasool allah #या अली अलैहिस्सलाम 🙌🙌🙌🙌🙌 #🤲इस्लाम की प्यारी बातें #🤲अल्लाह हु अक़बर #❤️अस्सलामु अलैकुम

2.1K ने देखा
4 महीने पहले